tazad-e-zat mein chhupte hue chhupate hue main thak gaya hun bahut zindagi nibhate hue khuda karim meri aakhiri umid ki khair nujumi khauf mein tha zaicha banate hue bikher sham ki zulfen samet le suraj ek umr ho gai hai dhup mein nahate hue udas logon ka murshid hamein banaya gaya qubul kar liya hum ne bhi muskuraate hue guman aise thapedon ke sath aaya tha yaqin dub gaya hausla badhate hue faqat sitare nahin raushni ka bojh bhi tha zamin kanp uthi aasman uthate hue