aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye aisi sahba-e-kuhan aur kham hai mere liye zindagi ek shorish-e-alam hai mere liye jo nafas hai gardish-e-ayyam hai mere liye shaeri hi wajh-e-nang-o-nam hai mere liye aur jo kuchh hai wo sab ilzam hai mere liye meri arz-e-shauq be-mani hai un ke waste un ki khamoshi bhi ek paigham hai mere liye ye meri aashufta-e-haali ye meri aawargi jaise sari gardish-e-ayyam hai mere liye kis qadar masum kaisi garm kitni dil-nawaz wo nigah-e-naz jo bad-nam hai mere liye aaj kya hone ko hai ai gardish-e-haft-asman har sitara larza-bar-andam hai mere liye