agar allah ki wahdaniyat taslim karte ho to phir insan ko khanon mein kyun taqsim karte ho mohabbat dastaras se lafz-o-mani ki hai baala-tar miyan tum us ki bhi tashrih aur tafhim karte ho tumhaara qaul kyunkar mo'atabar thahre ki tum us mein kabhi tansikh karte ho kabhi tarmim karte ho haqir un ko samajhte ho jo hain tauqir ke qabil razilon ki magar tazim aur takrim karte ho baghawat kyun nahin karte khuda-wandan-e-baatil se khuda bar-haq hai is haq ko agar taslim karte ho agar qabu nahin khud par to sab be-sud-o-la-hasil bahadur lakh ho taskhir haf-iqlim karte ho in aawara parindon ko pakad pate ho tum kyunkar khayalon ki ai 'rahi' kis tarah tanzim karte ho