![](http://cdn.pagalshayari.com/images/ghazal/aah-hamraaz-kaun-hai-apna-mushafi-ghulam-hamdani-ghazal-english.jpg)
aah hamraaz kaun hai apna bakht-e-na-saz kaun hai apna kis ke kahlaen hum ki tere siwa but-e-tannaz kaun hai apna baat kah de hai wo tah-e-dil ki aisa ghammaz kaun hai apna le udte tu hi gar na hum ko to phir shauq-e-parwaz kaun hai apna wasl hota nahin, nahin malum khalal-andaz kaun hai apna bola dekh aaina wo hairat se chehra-pardaz kaun hai apna go ki aankhen ladaen hum us se yan nazar-baz kaun hai apna shab-e-furqat mein juz-dam-e-quliyan yar dam-saz kaun hai apna be-niyazi kare jo tu hi to phir ai hama-naz kaun hai apna 'mushafi' hum hain aur tanhai sach hai ambaz kaun hai apna
Please share if you liked this!!!