aah hum hain aur shikasta-paiyan ab kahan wo baadiya-paimaiyan bahr-e-gham hai aur dil-e-khalwat-pasand baada hi baada hai aur gahraiyan ghaflaten ab su-e-manzil le chalin hoti jati hain khajil danaiyan mere talwon ke lahu ka faiz hai ye kahan thin dasht mein ranaiyan farq kya hai zindagi o maut mein uf mohabbat ki qayamat-zaiyan phir na ubhra jo koi duba yahan uf-re bahr-e-ishq ki gahraiyan josh-e-tufan hai ki maujon ka kharosh ab liye hai god mein gahraiyan le uda nashsha khayal-e-yar ka aa gain hum ko falak-paimaiyan donon aalam dub kar gum ho gae allah allah qalb ki gahraiyan sar se uncha ho gaya pani 'jigar' muntazir thin bahr ki gahraiyan