aah ko mail-e-guftar karun ya na karun un se kuchh shikwa-e-azar karun ya na karun aankhen apni hain ye hath apne hain munh apna hai hai haqiqat magar iqrar karun ya na karun phir musibat mein wo aawaz agar den mujh ko dil bata tu hi ki inkar karun ya na karun khas hai mere liye un ke junun ki thokar aise ehsan ka iqrar karun ya na karun ab to khud apni firasat se hun main bhi mashkuk ham-nawaon main ye izhaar karun ya na karun yahi nakaamiyan qismat mein likhi hain ya-rab apni taqdir se paikar karun ya na karun mere ek hath ne phunka hai nasheman mera dusre hath pe izhaar karun ya na karun