mahfil-e-dost mein go sina-figar aae hain surat-e-naghma ba-andaza-e-bahaar aae hain is nazar se ki tere zulm ki tashhir na ho be-qarari mein liye dil ka qarar aae hain ek pindar-e-khudi jis ko bacha rakkha tha aaj hum wo bhi teri bazm mein haar aae hain zulmat-e-sham-e-khizan yaad karegi barson hum jab aae hain gulistan-ba-kanar aae hain ai rafiqan-e-rah-e-shauq kahan ho bolo hum tumhein shahr-o-bayaban mein pukar aae hain hai pur-ashob faza phir bhi kisi jaanib se dil ke virane mein paigham-e-bahaar aae hain gham-e-manzil mein bhatakte hi guzar jati hai chhod kar jab se teri rah-e-guzar aae hain zindagi rose nai lagti hai dil walon ko garche har rose wahi lail-o-nahaar aae hain dekhna luti gai kaun si basti yaro ud ke dil tak jo kudurat ke ghubar aae hain apne anjam se khush apni wafa par nazan muskuraate hue hum janib-e-dar aae hain