aah milte hi phir judai ki wah kya khub aashnai ki na gai teri sar-kashi zalim hum ne har-chand jabba-sai ki dil nahin apne ikhtiyar mein aaj kya magar tu ne aashnai ki dar pe ai yar tere aa pahunche tapish-e-dil ne rahnumai ki qabil-e-sajda tu hi hai ai but sair ki hum ne sab khudai ki jo muqayyad hain teri ulfat ke aarzu kab unhen rihai ki ji mein 'bedar' khap gai mere khandaq us panja-e-hinai ki