aah nikle na ab sada nikle hath utthe to bas dua nikle ashk aankhon ki hai wafadari jo na chhalke to bewafa nikle tum na majnun ho na koi laila ishq-e-umr-e-daraaz kya nikle aankh darti hai ab khayalon se khwab koi na phir bura nikle roz patthar tarashta hi raha shayad un mein kabhi sada nikle is liye chup hun khaksari mein kya pata ghar ka hi diya nikle khak jab bhi ude gali mein tere main jalun aur bas dhuan nikle dubne ko safina hai mera kash koi to ab dua nikle ya khuda tang aa gaya hun main dard nikle na kuchh dawa nikle 'pyasa' na-waqifon ki basti mein dhundhta hun koi saga nikle