aaina kyun na dun ki tamasha kahen jise aisa kahan se laun ki tujh sa kahen jise hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein gul-dasta-e-nigah suwaida kahen jise phunka hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai khuda afsun-e-intizar tamanna kahen jise sar par hujum-e-dard-e-gharibi se daliye wo ek musht-e-khak ki sahra kahen jise hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise darkar hai shaguftan-e-gul-ha-e-aish ko subh-e-bahaar pumba-e-mina kahen jise 'ghaalib' bura na man jo waiz bura kahe aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise ya rab hamein to khwab mein bhi mat dikhaiyo ye mahshar-e-khayal ki duniya kahen jise hai intizar se sharar aabaad rustakhez mizhgan-e-koh-kan rag-e-khara kahen jise kis fursat-e-visal pe hai gul ko andalib zakhm-e-firaq khanda-e-be-ja kahen jise