aah-o-fariyaad se mamur chaman hai ki jo tha

aah-o-fariyaad se mamur chaman hai ki jo tha
mail-e-jaur wahi charkh-e-kuhan hai ki jo tha

husn pabandi-e-adab-e-jafa par majbur
ishq aawara sar-e-koh-o-daman hai ki jo tha

lakh badla sahi mansur ka aain-e-hayat
aaj bhi silsila-e-dar-o-rasan hai ki jo tha

dar ke chaunk uthti hain khwabon se naweli kaliyan
khanda-e-gul mein wahi saz-e-mehan hai ki jo tha

shabnam-afshani-e-gulshan hai dam-e-subh hanuz
lala-o-gul pe wo ashkon ka kafan hai ki jo tha

dil-e-be-tab pe mazi ki nawazish hai wahi
shab-e-mahtab pe yaadon ka gahan hai ki jo tha

hath rakh deta hai shane pe tasawwur un ka
gham ki raaton mein koi jalwa-figan hai ki jo tha

unhen kya fikr ki puchhen dil-e-bimar ka haal
be-niyazana wo andaz-e-sukhan hai ki jo tha

lakh badla sahi ai 'fauq' zamana lekin
tere andaz mein be-sakhta-pan hai ki jo tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close