chashm-e-pur-nam abhi marhun-e-asar ho na saki zindagi khak-nashinon ki basar ho na saki mai-kade ki wahi manus faza aur dil-e-zar ek bhi raat ba-andaz-e-digar ho na saki gham-e-jaanan gham-e-dauran ki guzargahon se guzre kuchh aise ki khud apni khabar ho na saki dhundle dhundle nazar aate to hain qadmon ke nishan garche pur-nur abhi rahguzar ho na saki zindagi jam-ba-kaf aai bhi mahfil mein magar shab ke matwalon ko taufiq-e-nazar ho na saki kaise tabinda sitaron ka lahu jalta hai shab-e-tarik jo unwan-e-sahar ho na saki