aah se jab dil mein dube tir ubhaare jaenge dekh lena dur tak ud kar sharare jaenge mauj-e-tufan ko jinhon ne chirna sikha nahin is kinare se bhala kya us kinare jaenge utni hi rangin hoti jaegi apni nazar jis qadar tere tasawwur ko sanware jaenge kuchh na kuchh ho hi rahega dard-mandi ka maal jaan ke dushman tujhi ko hum pukare jaenge khak ho kar bhi na aaega unhen dam bhar qarar uth ke tere dar se jo aafat ke mare jaenge ek harf-e-dil-nashin! ye bhi nahin to ek nigah dur jaane wale kyun-kar be-sahaare jaenge baithe sahil par gina karte hain jo lahren 'asar' waqt padne par bhala kya dhaare dhaare jaenge