agarche aaina-e-dil mein hai qayam us ka na koi shakl hai us ki na koi nam us ka wahi khuda kabhi milwaega hamein us se jo intizar karaata hai subh o sham us ka hamare sath nahin ja saka tha wo lekin raha khayal siyahat mein gam gam us ka khuda ko pyar hai apne har ek bande se safed-fam hai us ka siyah-fam us ka kama ke dete hain jo mal wo amiron ko hisab kyun nahin lete kabhi awam us ka hamara farz hai be-lag rae ka izhaar koi durust kahe ya ghalat ye kaam us ka kahan hai shaikh ko sudh-budh mazid pine ki nasha utar gae tin chaar jam us ka zaban-e-dil se koi shairi sunata hai to samain bhulate nahin kalam us ka 'shuur' sab se alag baithta hai mahfil mein isi se aap samajh lijiye maqam us ka