aah se ya aah ki tasir se ji bahal jata kisi tadbir se ab se gham sahne ki aadat hi sahi sulh kar len lao charkh-e-pir se jabr ko kyunkar na samjhun ikhtiyar tum ne bandha hai mujhe zanjir se kaam ab us tadbir par hai munhasir wasta jis ko na ho taqdir se us nigah-e-naz ka allah re faiz nisbaten hain zakhm-e-dil ko tir se hoshiyar o shokh-e-be-parwa-khiram bach ke meri khak-e-daman-gir se ishq-e-'fani' us pe apni ye bisat khelti hain bijliyan taswir se