hua wo khub-ru yun be-hijab aahista aahista nazar dekhe hai jaise koi khwab aahista aahista bane jaise kali koi gulab aahista aahista yun kuchh us shokh par aaya shabab aahista aahista badha hai dard-e-dil aur iztirab aahista aahista hue aashiq giraftar-e-azab aahista aahista hai kaisa sehr ye madhosh kar ke tishna-lab rakkha pilai us nazar ne jo sharab aahista aahista jafaon ke tasalsul mein koi waqfa zaruri hai diwana laega sahne ki tab aahista aahista misal-e-chaak ho kar rah gaya gardan wajud apna kisi ne yun kiya khana-kharab aahista aahista nibahi dosti kuchh yun hamari baada-noshi par kare hai mohtasib bhi ehtisab aahista aahista na chaha phir bhi ja pahunche usi sahra mein diwane dikhaya us nazar ne yun sarab aahista aahista hua jab khatm sarmaya to phir rakht-e-safar bandha chukaya zist ka hum ne hisab aahista aahista