aahang nai rut ka mila sham se pahle

aahang nai rut ka mila sham se pahle
tab main ne bhi ek sher kaha sham se pahle

ai chaaragaro raat ki poshak utaro
mahsus karo dard mera sham se pahle

us ghar ki tabahi pe bahut tut ke roe
wo jis ka daricha na khula sham se pahle

jab jab bhi zarurat ke taqaze na hon pure
dar lagta hai har roz naya sham se pahle

dilli mein aur is dil mein koi farq nahin hai
ujda hai ujale mein luta sham se pahle

dushman hi nahin yaron ke chehre bhi the utre
jab main ne tera nam liya sham se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close