aa gae mujh mein bhi kuchh rang zamane wale

aa gae mujh mein bhi kuchh rang zamane wale
ab meri aankh mein aansu nahin aane wale

tum mera nam jo ek bar zaban par le aao
khud mere dam badha denge ghatane wale

ab ke koi bhi teri samt nahin aaega
sab ko har roz nai samt batane wale

ye jo shohrat ne mera nam-o-nasab puchh liya
ab mujhe sar pe bithaenge girane wale

is liye sher kahun log tujhe pahchanen
dard de kar mera mahaul banane wale

sab kahan jaan sakenge mera dil jaanta hai
un ke nakhre bhi to hain naz uthane wale

jab koi chiz sambhaali nahin jati tujh se
tere hathon mein kabhi hum nahin aane wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close