aahat pe kan dar pe nazar is tarah na thi ek ek pal ki hum ko khabar is tarah na thi tha dil mein dard pahle bhi lekin na is qadar viran to thi hayat magar is tarah na thi har ek mod maqtal-e-arman-o-arzu pahle to teri rahguzar is tarah na thi jab tak saba ne chheda na tha nikhat-e-gulab kucha-ba-kucha mahw-e-safar is tarah na thi barson mein pahle hoti thi nam aastin kabhi arzan mata-e-dida-e-tar is tarah na thi