apni aur kisi se kis din rah-o-rasm-o-rifaqat thi aati jati sans thi jis ki saat sangat thi tujh ko khayal na aaya warna kis din itne garan the hum ek do harf-e-murawwat socho kaun si aisi qimat thi main bhi apni dhun mein rawan tha wo bhi apne-ap mein gum baat ki naubat kaise aati kis ko itni fursat thi bit chuke wo din wo zamane rahat bhari aziyyat ke yaad kise ab kaun batae duri thi ki wo qurbat thi kucha kucha phailen baaten qata-e-talluq-khatir ki auron ka to zikr hi kya diwar-o-dar ko hairat thi kitne hain jo ab tak pahunche apni zat ki manzil tak harf-o-bayan se baat hai bahar aisi kadi masafat thi gosha-gir faqir the hum to maslak ijz-o-niyaz 'bashir' kyun be-sud kisi se ulajhte apni kis se adawat thi