aahaten sun kar hi mar jati hai sahraon ki khak ab tere wahshi se dar jati hai sahraon ki khak is junun-e-ishq ki thokar mein aa jaane ke baad aasmanon mein bikhar jati hai sahraon ki khak khushnuma manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yar jab dilon mein bhi utar jati hai sahraon ki khak kaun khema-zan kahan hai aaie dhunden yahan pal mein sab kuchh khak kar jati hai sahraon ki khak ungliyan teri pakad kar sun le ai baad-e-saba gulshanon mein bhi utar jati hai sahraon ki khak panw phailati hai ye sahra-nawardi jab meri har taraf 'misdaq' bhar jati hai sahraon ki khak