kya hamare ashk ki qimat nahin boli gai

kya hamare ashk ki qimat nahin boli gai
kyun hamare ganw ki sadken nahin badli gai

ab jahan mein koi bhi insan mujh ko na dikha
ye kisi ki soch hai hum se nahin sochi gai

khatma puri tarah insaniyat ka kab hua
bas rida lachaar ki odhe hui suti gai

hai abhi bhi ishq lila aur majnun ki tarah
wo hamare nam pe khud ki bali chadhti gai

kya pata us ko meri kaisi ada mahbub ho
rah mein titli kai andaz se udti gai

bahami ranjish to firqa khub aapas mein lade
khun ke mizan mein qaumen meri toli gai

ji rahi hai gar siyasat sar utha kar to janab
lash bhi bahti nadi mein shan si teri gai

man agar ghussa kare to baad mein ruthe nahin
sakht hai buniyaad par itni nami rakkhi gai

phek do ghar se haya bazar mein bikte raho
bap ko ghar ke kisi kone mein jaan de di gai

hum bahut majbur apne aap mein tab se hue
jab lakiren yar ki aghyar se milti gai

rah mein kanten bahut the panw mera phul tha
dhaar se khushbu miyan-e-rah mein ladti gai

qatl pahle bhi bahut aasan tha ab bhi wahi
surat-e-qatil hukumat ki tarah badli gai

sahib-e-irfan 'ghaalib' se shikayat ye karen
kyun ghazal be-nam tere nam se jodi gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close