aahaten taza muqaddar ki taraf aainon ke dhyan patthar ki taraf waswase sina-sipar maujud se wahime ki pusht khanjar ki taraf shisha shisha khauf har chehre pe naqsh ek nishana saikdon sar ki taraf haal par dushman ki poshida-rukhi aaina raushan sikandar ki taraf muskura kar aabla-tan badh gae khar ke surkhab bistar ki taraf raushni bahar badi tezab hai qatra qatra aankh manzar ki taraf sarwari thi nok-e-pa-e-khaksar ja padi dastar-e-khud-sar ki taraf