hansne mein rone ki aadat kabhi aisi to na thi teri shokhi gham-e-furqat kabhi aisi to na thi ashk aa jaen to palkon pe bithaunga unhen qatra-e-khun teri izzat kabhi aisi to na thi kisht-e-gham aur bhi lahrane lagi hansne lagi chashm-e-nam teri shararat kabhi aisi to na thi kitne gham bhul gaya shukriya tera gham-e-yar yun mujhe teri zarurat kabhi aisi to na thi wo mujassam bhi jo aa jae to dekhun na use meri us but ki ibaadat kabhi aisi to na thi der tak baithe pa kuchh tu ne na main ne hi kaha jaisi tujh se hai rifaqat kabhi aisi to na thi ek ek sher se tapke hain lahu ke qatre meri dushman ye tabiat kabhi aisi to na thi