aahista boliyega tamasha khada na ho bairun-e-khwab koi hamein sun raha na ho diwaren uth gai na hon dasht-e-junun mein ram-khurda wo ghazal kahin gum-shuda na ho rakht-e-safar mein bandh len pur-shor kuchh bhanwar dariya hai pur-sukun safar be-maza na ho yun to wo ek aam sa patthar hai mil ka lekin wahan se aage agar rasta na ho masjid pukarti rahi hayya-alal-falah jaise hamara apna koi falsafa na ho hum kat denge umr ki zanjir ek din ham-zad karb-e-did se shayad riha na ho ek chand mujh ko takta rahta hai in dinon jaise siwae mere koi aaina na ho hans hans ke us se baaten kiye ja rahe ho tum 'sabir' wo dil mein aur hi kuchh sochta na ho