aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki yahi hawa thi bagh mein yahi sada ghadiyal ki mahak ajab si ho gai pade pade sanduq mein rangat phiki pad gai resham ke rumal ki shahr mein dar tha maut ka chand ki chauthi raat ko inton ki is khoh mein dahshat thi bhaunchaal ki sham jhuki thi bahr par pagal ho kar rang se ya taswir thi khwab mein mere kisi khayal ki umr ke sath ajib sa ban jata hai aadmi haalat dekh ke dukh hua aaj us pari-jamal ki dekh ke mujh ko ghaur se phir wo chup se ho gae dil mein khalish hai aaj tak is an-kahe sawal ki