aai KHizan chaman mein gae din bahaar ke

aai khizan chaman mein gae din bahaar ke
sharminda sab darakht hain kapde utar ke

make-up se chhup sakengi kharashen na waqt ki
aaina sari baaten kahega pukar ke

insan simatta jata hai khud apni zat mein
bandhan bhi khulte jate hain sadiyon ke pyar ke

phir kya karega rah ke koi tere shahr mein
raaten hi jab nasib hon raaten guzar ke

socha hai apne zakhmon ke aangan mein baith kar
sajde karunga naqsh-e-tamanna ubhaar ke

tanhaiyon ka dard samete hue koi
'farhat' chala hai thokaren duniya ko mar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close