jab har nazar ho khud hi tajalli-numa-e-gham phir aadmi chhupae to kaise chhupae gham us waqt tak mili na mujhe lazzat-e-hayat jab tak raha zamane mein na-ashna-e-gham meri nigah-e-shauq hi gham ka sabab nahin un ki nigah-e-naz bhi hai rahnuma-e-gham sauda-e-ishq dard-e-mohabbat jafa-e-dost hum ne khushi ke waste kya kya uthae gham shayad ye hai karishma fareb-e-nashat ka ghabra ke aa gai hai labon par dua-e-gham 'farhat' ki har hansi mein hain aansu chhupe hue us ki khushi bhi odhe hue hai rida-e-gham