aai patjhad gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein kat gae kaise kaise sajile jawan raat bhar mein tutti pattiyon ki nigahon mein bechaargi hai rakh si bujh gai panchhiyon ki fughan raat-bhar mein do-ghadi aur sun meri furqat ke betab nauhe khatm kaise ho ek umr ki dastan raat-bhar mein to jo aaya to guzri bahaaren bhi hamrah laya yaad ke dasht mein khil gae gulsitan raat-bhar mein us ko pahchan pai na suraj ki pahli kiran bhi jaise nauras kali ho gai ho jawan raat-bhar mein laya kya kya guhar soch sagar se sapnon ka manjhi mil gain kitni khoi hui kashtiyan raat-bhar mein