aai udas raat sahar chashm-e-tar gai wo kya gae ki raunaq-e-sham-o-sahar gai yun to harim-e-naz pe sab ki nazar gai lekin zamane bhar ki bala mere sar gai rishta khushi ka gham se kabhi tutta nahin gham mere pas hai to khushi us ke ghar gai mere lahu se rang-e-gulistan nikhar gaya mere junun ke faiz se duniya sanwar gai main kho gaya hun gardish-e-dauran mein is tarah ye bhi khabar nahin ki jawani kidhar gai hathon se chhut chhut gaya daman-e-khayal kafir nigah chhod ke aisa asar gai husn-e-junun-nawaz ki dildariyan 'nazir' jalwe machal rahe the jahan tak nazar gai