dil-e-muztar se ulfat ki farawani nahin jati

dil-e-muztar se ulfat ki farawani nahin jati
nahin jati hai yani khu-e-insani nahin jati

ye kya dastur kya aain-e-mai-khana hai ai saqi
ki rindon ki yahan to baat bhi mani nahin jati

mujhe ai shaikh kuchh muddat tu but-khane mein rahne de
buton mein baith kar dil se musalmani nahin jati

shanasa the sabhi apne ki jab tak bakht yawar tha
padi mushkil to ab surat bhi pahchani nahin jati

ye kya kahte ho hum un ko kahan dhunden kidhar dhunden
talash-e-yar mein kya khak bhi chhani nahin jati

agar gul ko chaman se tod phenken khar-zaron mein
to phir bhi us ki wo bu-e-gulistani nahin jati

kisi majbur fitrat se gila kyun-kar kare koi
ki mar-e-astin se zahr-afshani nahin jati

bhula kar bhi wo fann-e-shairi ki pur-kathin rahen
'nashat' apni tabiat ki ye jaulani nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close