aaina aaina kyun kar dekhe apne hi dagh nazar bhar dekhe tum ne jalwe ko bhi chhuna chaha hum ne khushbu mein bhi paikar dekhe aap insan hua surat ka asir shisha tute to sikandar dekhe hum ne aawaz lagai sar-e-tur rup jab shauq se kamtar dekhe jalwa-e-tur baja tha lekin aankh mushtaq thi paikar dekhe dard ko khauf bikhar jaane ka aankh ko shauq ki badh kar dekhe mustaqil sab ka pata ek hi tha kis ne faghfur-o-sikandar dekhe