aazadi-e-khayal ki wusat ko dekhiye rah kar zamin pe karte hain baat aasman se hum jine ki kuchh khushi hai na marne ka koi khauf aazad is tarah hue har do-jahan se hum ghaalib hai dil pe josh o zauq-e-sukhan mere darja mein kam nahin kisi aatish-zaban se hum sattar baras ki umr jawanon se badh ke josh is raaz ko chhupae hain ahl-e-jahan se hum ahbab nukta-sanj sukhan-dan chale gae 'ahqar' hain ab lage faqat hindostan se hum