aaina ban ke apna tamasha dikhaen hum yun samne rahen ki nazar bhi na aaen hum mumkin hai daur-e-jashn-e-charaghan ho jab yahan wo tirgi badhe ki sahife jalaen hum darpesh hai guzishta ruton ka safar hamein hairat na kar ki laut ke wapas na aaen hum taufiq-e-sair-e-bagh agar ho to ab ki sham dil ki jagah shajar pe parinde banaen hum khamosh ho raho ki sar-e-shahr-e-arzu uftad wo padi hai ki ab kya bataen hum