bas ek jahan-e-tahayyur se aane wala hai wo ajnabi mujhe apna banane wala hai gulab sang ki surat dikhane wala hai kahan kahan wo mujhe aazmane wala hai koi to dekhne wala hai meri aankhon se koi to hai jo tamasha dikhane wala hai ye chand aur sitare to ek bahana hain kuchh aur hai jo yahan jagmagane wala hai har ek jism yahan ruh ki alamat hai ye regzar bhi naghma sunane wala hai bas ek sawal ki takhliq hai bashar jaise kahan se aaya hai kis or jaane wala hai use khabar hai kahan raushni ka makhaz hai wo tirgi mein dilon ko jalane wala hai amir us ki amanat utha nahin sakta faqir asal mein us ka khazane wala hai wo ek pyas ka lamha jo mere andar hai kabhi kabhi to samundar lutane wala hai wo khaksar ko deta hai phul hisse mein wo sang-zar mein dariya bahane wala hai bahut aziz hai zer-o-zabar ka khel use bujha bujha ke tamanna jagane wala hai wo ek gauhar-e-yakta hai mere sagar mein wo ek ashk ki aankhon mein aane wala hai samar ko bandh ke rakhta hai wo darakhton par jo pak gaya use niche girane wala hai wo apne aap hi ghar laut aaega 'ahmad' kisi ko kaun hamesha bulane wala hai