aaina dekha kisi roz na hairan hue hum to bas aa ke yahan sakht pasheman hue mezbani ka sharaf qismat-e-aghyar mein tha tum mere ghar to kisi raat na mehman hue jab koi baat samajhne ka hamein hosh na tha faisle hum se bhi sarzad isi dauran hue dil gaya jaan gai izzat-e-sadat gai ishq mein is ke siwa aur bhi nuqsan hue main bhi us shakhs ka mamnun kahan tak rahta kaam mere to kahin aur se aasan hue