aaina dekhun magar kya dekhun khud ko hathon se phisalta dekhun manzil-e-shauq kahin aur nahin dub jaun to kinara dekhun koi qatil hi kahin mil jae ek insan to zinda dekhun wo jo aaya hai to kya aaya hai samne aur hi chehra dekhun khuld ko is liye chhod aaya tha ye tamanna thi ki duniya dekhun aaj phir dil mein wahi khwahish hai yani kuchh us se nirala dekhun aur chaara nahin 'tasir' koi jo dikhae ye zamana dekhun