dosti mein fasle hote nahin pyar mein ye tajziye hote nahin kya zaruri hai ki wo mujrim bhi hon jin ke haq mein faisle hote nahin soch kar tum ye talluq todte tut kar patte hare hote nahin raushni hoti nahin us bazm mein jis mein shamil-e-dil jale hote nahin marke sar hote hain jin ke tufail un ke akasr tazkire hote nahin apne to apne hi hote hain faqat apnon mein achchhe bure hote nahin un ka dar jata nahin tasir kyun han wahi jo hadse hote nahin