aaina-e-dil mein kuchh agar hai tera hi jamal jalwa-gar hai hum mar gae teri justuju mein be-rahm kahan hai tu kidhar hai rahbar nahin chahti rah-e-ishq wan shauq hi apna rahbar hai kyun mare hai laf hajj-e-akbar apne kiye par bhi kuchh nazar hai kabe si jagah pahunch phir aaya tu haji nahin hai gidi khar hai us dar hi ki aarzu mein 'joshish' ye musht-e-ghubar dar-ba-dar hai