aaina-e-rangin-e-jigar kuchh bhi nahin kya kya husn hi sab kuchh hai nazar kuchh bhi nahin kya chashm-e-ghalat-andaz ke shayan bhi na thahre jazb-e-gham-e-pinhan mein asar kuchh bhi nahin kya nazren hain kisi ki ki hai ek aatish-e-sayyal yun aag lagane mein khatar kuchh bhi nahin kya adna sa ishaara bhi hai jis ka mujhe ek hukm us par meri aahon ka asar kuchh bhi nahin kya mana mere jalne se na aanch aaegi tum par lekin mere jalne mein zarar kuchh bhi nahin kya yun bhi koi duniya ki nigahon se na gir jae 'mulla' ko bura kahne mein dar kuchh bhi nahin kya