aarzu ko dil hi dil mein ghut ke rahna aa gaya aur wo ye samjhe ki mujh ko ranj sahna aa gaya ponchhta koi nahin ab mujh se mera haal-e-dil shayad apna haal-e-dil ab mujh ko kahna aa gaya sab ki sunta ja raha hun aur kuchh kahta nahin wo zaban hun ab jise danton mein rahna aa gaya zindagi se kya laden jab koi bhi apna nahin ho ke shal dhaare ke rukh par hum ko bahna aa gaya lakh parde iztirab-e-shauq par dale magar phir wo ek machla hua aansu barahna aa gaya tujh ko apna hi liya aakhir nigar-e-ishq ne ai urus-e-chashm le moti ka gahna aa gaya pi ke aansu si ke lab baitha hun yun is bazm mein dar-haqiqat jaise mujh ko ranj sahna aa gaya ek na-shukre chaman ko rang-o-bu deta raha aa gaya han aa gaya kanton mein rahna aa gaya lab pe naghma aur rukh par ek tabassum ki naqab apne dil ka dard ab 'mulla' ko kahna aa gaya