aaina hai ye jahan is mein jamal apna hai surat-e-ghair kahan hai ye khayal apna hai bas ki hon hech-madan us pe main karta hun ghamand be-kamali mein mujhe apni kamal apna hai nala-o-ah hai ya girya-o-zari hai yahan puchhte kya ho jo kuchh hijr mein haal apna hai talib ek bose ka hun dete ho kya saf jawab kuchh bahut bhi nahin thoda hi sawal apna hai hai bura ya bhala jo kuchh ki hai tera hai 'huzur' is ke tain ghar se mat apne tu nikal apna hai