zindagi ishq-o-mohabbat se jawan hoti hai

zindagi ishq-o-mohabbat se jawan hoti hai
warna be-kaif si be-tab-o-tawan hoti hai

ishq ki lau se jo raushan rag-e-jaan hoti hai
shama ban jati hai be-ishq dhuan hoti hai

kaun hum jaison ko is mai ka pata deta hai
pahle kuchh log batate the ki han hoti hai

haw-hu shor jo hum sunte hain mai-khane mein
mai-gusaron ke liye bang-e-azan hoti hai

ek na ek naseh-e-mushfiq bhi tapak padta hai
mai-gusari ki koi baat jahan hoti hai

ai 'hakim' aao wo mai-khana khula rahta hai
asl mai saqi-e-kausar ke wahan hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close