aaina hum sar-e-bazar jo le kar nikle

aaina hum sar-e-bazar jo le kar nikle
jaane kya baat thi har samt se patthar nikle

baatil-e-waqt ke jab bhi kabhi lashkar nikle
haq-parasti ka alam le ke bahattar nikle

kat gai umr gharibi ke bhanwar mein lekin
us ki jholi se kai qimti zewar nikle

bughz-o-nafrat ki hawa chalne lagi hai har-su
aadmi ghar se zara soch samajh kar nikle

jin ke kirdar pe duniya ne uthai ungli
mehr-o-ikhlas ke wo log samundar nikle

haal-e-dil apna sunaen bhi to kis se 'sabir'
mom samjha tha jinhen dil ke wo patthar nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close