apne kashkol mein wo shams-o-qamar rakhte hain jo qalandar hain zamane ki khabar rakhte hain manzilen un hi ke hamrah chala karti hain apne sine mein jo allah ka dar rakhte hain nusraten un ke qadam chumti rahti hain sada hai jo diwane kahan rakht-e-safar rakhte hain azm ke bute pe udte hain bulandi ki taraf par nahin quwwat-e-parwaz magar rakhte hain hum ne ajdad se wirse mein ye paya hai hunar hum samundar ke tamashon pe nazar rakhte hain bandh lete hain bamon ko bhi shikam se apne dil hai faulad ke lohe ka jigar rakhte hain in sharifon ko tu buzdil na samajhna 'sabir' tank aur top chalane ka hunar rakhte hain