aaina hun ek hairani mere chaaron taraf lamha lamha hashr-samani mere chaaron taraf bahr-e-isyan mein ghira nanhe jazire sa wo main aur phir hadd-e-nazar pani mere chaaron taraf jurm hai masumiyat matub hai diwangi hai khirad-mandon ki nadani mere chaaron taraf waqfe waqfe se yahan uthne lage hain gard-baad har taraf mahaul tufani mere chaaron taraf bastiyan jitni bhi thin shahr-e-khamoshan ho gain ho gai aabaad virani mere chaaron taraf main ki hun har haal mein chashm-e-tawajjoh ka shikar hai taghaful ki nigahbani mere chaaron taraf kaun hai jabr-o-saza ka mustahiq mere siwa hai jo bad-khwahon ki sultani mere chaaron taraf