adhuri na-shunida dastan hun ki shayad main samaat par garan hun khayalon mein bhi kuchh wazeh nahin hai yaqin ki god mein palta guman hun lab-e-izhaar chup hai meri khatir abhi han aur nahin ke darmiyan hun bulandi par hawa le ja rahi hai charagh-e-jism se uthta dhuan hun kashish bazar ki roke hue hai abhi main apne ghar pahuncha kahan hun mujhe paoge dil ke pas har dam jahan mahsus kar loge wahan hun mere andar hai poshida qayamat kamal-e-zabt ka ek imtihan hun hue 'ejaz' budhe tum magar main khuda ke fazl se ab tak jawan hun