aaina-KHana bhi andoh-e-tamanna nikla

aaina-khana bhi andoh-e-tamanna nikla
ghaur se dekha to apna hi tamasha nikla

zindagi mahfil-e-shab ki thi pas-andaz-e-sharab
pine baithe to bas ek ghunt zara sa nikla

phir chala mausam-e-wahshat mein sar-e-maqtal-e-ishq
qura-e-fal mere nam dobara nikla

dad-e-shaistagi-e-gham ki tawaqqo be-sud
dil bhi kam-bakht taraf-dar usi ka nikla

hai ajab tarz ka rahraw dil-e-shorida-qadam
jab bhi nikla safar-e-ishq pe tanha nikla

wo raqibon ka pata puchhne aae mere ghar
koi to un se mulaqat ka rasta nikla

dar-ba-dar khwar hue phirte hain hum hijr-nasib
jaan-sipari ka bhi kya khub natija nikla

dil mein uthte rahe yaadon ke bagule 'tishna'
mujh mein simta hua ek dard ka sahra nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close