aise raste pe aa gaya hun main jaise patthar koi hai ya hun main us ne puchha hayat ka qissa kya bataunga sochta hun main waqt ghadiyon ke darmiyan hai kahin sare mehwar pe ghumta hun main mujh se puchho na majra dil ka reza-reza juda juda hun main mujh se kahti hai meri khamoshi shor karta hun chikhta hun main ab to ek nam hai zamane mein ab to naqshe pe aa gaya hun main mere andar hazar-ha chehre kitna marbut aaina hun mein ishq karta hai apni man-mani tum samajhte ho sar-phira hun main kis ne mujh ko 'adam' pukara hai kis ka lahja hai dekhta hun main