aaina-khana karenge dil-e-nakaam ko hum pherenge apni taraf ru-e-dil-aram ko hum sham se subh talak daur-e-sharab aakhir hai rote hain dekh ke khandan dahan-e-jam ko hum yaad rakhne ki jagah hai ye tilism-e-hairat subh ko dekhte hi bhul gae sham ko hum aankh wo fitna-e-dauran kise dikhlata hai shoabada jaante hain gardish-e-ayyam ko hum fitna-angezi bhi chhupti hai kahin parde mein sunte hain gabr o musalman se tere nam ko hum khun-e-qasid to wo saffak samajhta hai halal kisi ghammaz se bhejwaenge paigham ko hum panw pakde hain zamin ne ye tere kucha ki rah-e-sad-sala samajhte hain ab ek gam ko hum dida-e-yar kahen kya use kaif-e-mai mein bhun kar roz gazak karte hain baadam ko hum beza-e-khat se hui us ki kudurat dah-chand ab safai ke liye dhundenge hajjam ko hum yahi tahsil-e-mohabbat ka hai aalam ta-haal pukhta karte hain hanuz aarzu-e-kham ko hum lutf hasil ho jo zulfon mein giraftari ka mol len dil ki asiri ke liye dam ko hum kucha-e-yar mein apna jo guzar hota hai nigaran rahte hain hasrat se dar-o-baam ko hum husn se ishq ki khatir hai khuda ne bheja karte hain 'atish' use aae hain jis kaam ko hum